Quiz on Imam Mahdi (a.t.f.s)

Mashhur aayat e Qurani jo Imam e Zamana (a.t.f.s) ki hukumat ki daleel ke taur per pesh ki jaati hai “ WA NOREEDO AN NUMUMMA ALAL LAZEENA” yeh kis Surah mein hai ?
Ayatullah Sadiq Shirazi ne apni kitaab Al Mahdi Fil Quran mein kitni Aayyat e Qurani Ahle Sunnat ke hawaalon se Imam e Zamana (a.t.f.s) se mutaaliq jama ki hain?
Riwayat mein zuhoor ke baad Imam e Zamana (a.t.f.s) ka jehaad kitne maah per mohit hoga?
Imam Muhammad Taqi (a.s) Ne zamane gaibat mein shiyon ke liye afzal tareen amal kaun sa bataya hai ?
Bibi Narjis e Khatun (sa) ka ek laqab Mallika Kyon Hai ?
Narjise Khatoon (sa) ka daswey Imam ke pass aane ka jo wakeya ek khaas sahabi e Imam jo Abu Ayub Ansari ki aulad se they nakal hua hai. Is sahabi ka naam bataen?
Bishr ibe Sulaiman (ra) kis ilake ke rahne wale the ?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ke Bazu per wiladat ke Waqt kya likha tha ?
Hazrat e Hujjat (a.t.f.s) ne wiladat ke baad apni Waaledeiye Ke Daaman e ismat mein kis Surah Ki Tilawat ki ?
Tarikh Ki ek Aur Azim hasti Jo wiladat se bhi pehle Maan se khitaab karti thi uska naam bataiye
Woh waqeiya bataiye jab Paygambar (saww) logon ke samne se guzre lekin kisi ko nazar na aa sake ?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ek mauqe per longon ki qasir taadaat ke samne zaahir Huwe. Woh mashur waqeya kaunsa tha ?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ne apne chacha ko namaz e Janaza padhne se rokte waqt kya jumala istemal kiya ?
Ghaibat e Sughra mein jin jhoote logon ne sifarat aur niyabar ka Dawa kiya un mein se Chand ke naam bataen ?
Imam Hasan Askari (a.s) ki ek kaniz bhi Imam e Zamana (a.t.f.s) ki ziyarat se musharraf hui unka naam kya tha ?
Sheikh e Mufid ko likhe gaye khat mein Imam (a.t.f.s) ne kis tarah ke Aamal karne ki taaqid ki hai aur kin Alfaaz mein ki hai ?
Zahoor e Imam ki alamat mein Suraj aur Chand grahan kin tariko mein Ishara kiya gaya hai ?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ke zuhoor se pehle musalsal barish ka tazkira hai yeh kis maah mein riwayat hui hai ?
Imam Sadiq (a.s) ne kaun se alaamat e zahoor ko hathmee karar diya hai ?
Nuda e Iblees (l.a) kya hogi ?
Sufyani kuch makhsus naam walon ko qatl karega.Woh naam kaun kaun se honge ?
Riwayaat mein ashaab e Imam e Zamana (a.t.f.s ) mein sindh se taaluk rakhne wale shakhseyat ka bhi zikr aaya hai. Unka naam kya bataya gaya hai ?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ke paas kaun kaun se tabarrukat e Ambiyaa (as) honge ?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ke zahoor k baad woh islaahat jo Makke mein karenge un mein kam az kam chaar bayaan Karen ?
Hazrat e Issa (a.s) kis jagah nuzool karenge aur Imam e Zamana (a.t.f.s) ke hathon per baiyat karenge ?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ne wiladat ke baad Quran e Karim ki kaun si aayat ki tilawat ki?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ke iktedah mein namaz padhne walon mein sabse pehle saf ki namaziyon mein kaun kaun se ambiya (as) shaamil honge ?
Syed Hasani ka Nasab kaun se Imam se milta hoga ?
Sayyed e Hassani ka taaluq kis ilake se hoga ?
Imam e Zamana (a.t.f.s) ke haqiqi Intezar karne walon ka rutbah kya hai ?
{"name":"Quiz on Imam Mahdi (a.t.f.s)", "url":"https://www.quiz-maker.com/QPREVIEW","txt":"Mashhur aayat e Qurani jo Imam e Zamana (a.t.f.s) ki hukumat ki daleel ke taur per pesh ki jaati hai “ WA NOREEDO AN NUMUMMA ALAL LAZEENA” yeh kis Surah mein hai ?, Ayatullah Sadiq Shirazi ne apni kitaab Al Mahdi Fil Quran mein kitni Aayyat e Qurani Ahle Sunnat ke hawaalon se Imam e Zamana (a.t.f.s) se mutaaliq jama ki hain?, Riwayat mein zuhoor ke baad Imam e Zamana (a.t.f.s) ka jehaad kitne maah per mohit hoga?","img":"https://www.quiz-maker.com/3012/images/ogquiz.png"}
Powered by: Quiz Maker